ab main payam-e-fasl-e-baharan ko kya karun
daman kahan se la.un gareban ko kya karun
tasir-e-sozish-e-gham-e-pinhan ko kya karun
rang-e-parida-e-ruḳh-e-janan ko kya karun
paida yahin se mera nasheman bhi ho to jaa.e
be-e’tibari-e-gham-e-zindan ko kya karun
teri navazishon ne bikhere hazar gul
lekin main apni tangi-e-daman ko kya karun
yuun to har ek dard ne baḳhshi hayat-e-nau
main fitrat-e-hayat-e-gurezan ko kya karun
tum kya mile ki mil ga.iin saari masarraten
ab ye batao dida-e-giryan ko kya karun
‘ehsas’ kaise kaise hui thi sahar nasib
phir aa rahi hai ab shab-e-hijran ko kya karun
Leave a Reply