ashiq-e-gesu-o-qad tere gunahgar hain sab
mustahiq daar ke phansi ke saza-var hain sab
paas atibba ko hai mayus parastar hain sab
tere bimar-e-mohabbat ke bad-asar hain sab
dil-dahi ke bhi nahin tarz se vaqif asla
ye hasinan-e-jahan naam ko dildar hain sab
ab ye surat hai mohabbat men tumhari ai jaan
apne begane miri shakl se bezar hain sab
zulm-e-sayyad saha jaa.e yakayak kyunkar
ham asiran-e-qafas taaza giraftar hain sab
husn yakta-e-do-alam hai tira hi ai dost
teri vahdat ke muqir kafir-o-din-dar hain sab
ek bhi baat na dil le ke nibahenge huzur
ye zabani hi faqat aap ke iqrar hain sab
be-zabani se hain majbur nahin sun lete
qaa.il is abla-pa.i ke mire ḳhaar hain sab
na paḌo fikr-e-dahan-o-kamar-e-yar men tum
koi vaqif nahin ye ghaib ke asrar hain sab
us men ta.us-e-chaman ko hui ya kabk-e-dari
ai pari-zad tire Kushta-e-raftar hain sab
barish-e-girya ke hai saath hava ankhon ki
ḳhana-e-dil ki ḳharabi ke ye asar hain sab
qais-o-farhad ko sauda tha tira ishq na tha
tere divana-e-jan-baḳhta hoshiyar hain sab
yahi insaf tire ahd men hai ai shah-e-husn
vajib-ul-qatl mohabbat ke gunahgar hain sab
un buton se nahin ummid ḳhuda-tarsi ki
rahm dil un men nahin ek sitamgar hain sab
baat kis tarah dam-e-shikva ho sarsabz apni
ek apna nahin vaan un ke taraf-dar hain sab
kuchh unhen qadr nahin naqd-e-dil-e-ashiq ki
hasinan-e-jahan zar ke talabgar hain sab
kis tavaqqo pe koi bagh-o-makan banva.e
qabr men ek na kaam aa.ega bekar hain sab
un dil-avaron ke altaf par ai dil tu na bhuul
ranj kal denge yahi aaj jo gham-ḳhvar hain sab
fikr-e-iza men miri kuchh nahin tanha vahi shoḳh
naz-o-andaz-o-ada aur pa.e azar hain sab
chida mashuqon ke ausaf kiye hain mauzun
muntaḳhab karne ke qabil mire ash.ar hain sab
tujh sa ḳhush-vaz.a ḳhush-andaz na dekha ab tak
yuun to ma.ashuq zamane ke tarah-dar hain sab
bhule hain gardish-e-mina-e-falak ka nairang
ahl-e-zar jitne hain mast-e-mai-e-pindar hain sab
dosti kar ke ‘qalaq’ un se bahut pachhtata
dushman-e-jan mire ḳhuban-e-jafa-kar hain sab
Leave a Reply