ankhon se mohabbat ke ishare nikal aa.e
barsat ke mausam men sitare nikal aa.e
tha tujh se bichhaḌ jaane ka ehsas magar ab
jiine ke liye aur sahare nikal aa.e
main ne to yunhi zikr-e-vafa chheḌ diya tha
be-saḳhta kyuun ashk tumhare nikal aa.e
jab main ne safine men tira naam liya hai
tufan ki bahon se kinare nikal aa.e
ham jaan to bacha laate magar apna muqaddar
is bhiiḌ men kuchh dost hamare nikal aa.e
jugnu inhen samjha tha magar kya kahun ‘mansur’
muTThi ko jo khola to sharare nikal aa.e
Leave a Reply