ankhen khuli thiin sab ki koi dekhta na tha
apne siva kisi ka koi ashna na tha
yuun kho gaya tha husn hujum-e-nigah men
ahl-e-nazar ko apni nazar ka pata na tha
dhundla ga.e the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah
pahchanti thi aankh to dil manta na tha
tum paas the tumhen to hui hogi kuchh ḳhabar
itna to apna shisha-e-dil be-sada na tha
kuchh log the jinhen ye sa.adat hui nasib
varna yahan kise sar-e-mehr-o-vafa na tha
har samt ho raha tha andheron ka azhdaham
shab kaT chuki thi aur savera hua na tha
kya kya fraghaten thiin ‘tabassum’ hamen ki jab
dil par kisi ki yaad ka saaya paḌa na thaankhen khuli thiin sab ki koi dekhta na tha
apne siva kisi ka koi ashna na tha
yuun kho gaya tha husn hujum-e-nigah men
ahl-e-nazar ko apni nazar ka pata na tha
dhundla ga.e the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah
pahchanti thi aankh to dil manta na tha
tum paas the tumhen to hui hogi kuchh ḳhabar
itna to apna shisha-e-dil be-sada na tha
kuchh log the jinhen ye sa.adat hui nasib
varna yahan kise sar-e-mehr-o-vafa na tha
har samt ho raha tha andheron ka azhdaham
shab kaT chuki thi aur savera hua na tha
kya kya fraghaten thiin ‘tabassum’ hamen ki jab
dil par kisi ki yaad ka saaya paḌa na tha
Leave a Reply