aae hain ‘mir’ kafir ho kar khuda ke ghar men
peshani par hai qashqa zunnar hai kamar men
nazuk badan hai kitna vo shokh-chashm dilbar
jaan us ke tan ke aage aati nahin nazar men
siine men tiir us ke tuute hain be-nihayat
surakh pad gae hain saare mire jigar men
ainda shaam ko ham roya kudha karenge
mutlaq asar na dekha nalidan-e-sahar men
be-sudh pada rahun huun us mast-e-naz bin main
aata hai hosh mujh ko ab to pahr pahr men
sirat se guftugu hai kya mo’tabar hai surat
hai ek sukhi lakdi jo bu na ho agar men
ham-saya-e-mughan men muddat se huun chunanche
ik shira-khane ki hai divar mere ghar men
ab subh o shaam shayad girye pe rang aave
rahta hai kuchh jhamakta khunab chashm-e-tar men
aalam men ab-o-gil ke kyunkar nibah hoga
asbab gir pada hai saara mira safar men