Aabla Khaar-E-Sar-E-Mizhgan Ne Phoda Sanp Ka

aabla khar-e-sar-e-mizhgan ne phoda saanp ka

seli-e-zulf-e-rasa ne kalla toda saanp

panja-e-dandan tiri kanghi ne moda saanp ka

kar ke gesu-e-kalai haath toda saanp ka

kudki si mere sar par ishq-e-gesu hai savar

chob ki badli banata tha main ghoda saanp ka

bar-e-firauni pe teri zulf agar bandhe kamar

azhdar-e-musa ke tausan par ho kuuda saanp ka

main huun vo ranjur-e-gesu aks agar mera pade

mohr-e-har-e-ustukhvan ban jaae phoda saanp ka

jab siyah botal se mai-rezi hui daur-e-firaq

main ye samjha zahr saaqi ne nichoda saanp ka

hai qadam us ka hava par paanv us ka khaak par

zulf ke mushki ko kab paata hai ghoda saanp ka

ashiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah taazir do

saanp ki rassi banao aur koda saanp ka

zulf-e-kaj-raftar ki kab chaal chal sakta hai vo

aisi thokar khaae sar ban jaae roda saanp ka

ek din ho jaega raushan siyah-kari ka haal

donon baghlon men jaride hain ki joda saanp ka

janta huun main tire ras-o-zamb ko ai falak

mere dasne ke liye paala hai joda saanp ka

kya taajjub husn-e-janan se agar puchhe gazand

khaal men bichchhu ka joda zulfen joda saanp ka

saanp ke kaate ki lahr aae jo vasf-e-zulf men

‘bahr’ ne phir to koi mazmun na chhoda saanp ka

Leave a Comment