haan vahi ishq-o-mohabbat ki jila hoti hai
jo ibadat dar-e-janan pe ada hoti hai
jo giraftar-e-mohabbat hain ye un se puchho
naaz kya chiiz hai kya chiiz ada hoti hai
un ki nazron ki haqiqat ko koi kya jaane
un ki nazron men har ik gham ki dava hoti hai
kyuun na chehre pe malun ḳhak-e-dar-e-yar ko main
yahi vo ḳhaak hai jo ḳhak-e-shifa hoti hai
ra.egan sajde bhi ho jaate hain maqbul-e-karam
shamil-e-hal agar un ki raza hoti hai
jaane kya chiiz chhupi hai tire jalvon men sanam
saari duniya tere jalvon pe fida hoti hai
main bhi huun ek inayat ki nazar ka talib
tere kuche men marizon ko shifa hoti hai
un ke maiḳhane ko chhu aati hai jab fasl-e-bahar
phuul khil jaate hain masti men hava hoti hai
ai ‘fana’ milta hai ashiq ko baqa ka paigham
zindagi jab rah-e-ulfat men fana hoti hai
Leave a Reply