nahin ki zinda hai bas ek meri zaat men ishq
main sach kahun to faqat hai hi ka.enat men ishq
main ishq-zad charaghon ki bazm men raha huun
so jal raha hai abhi mere daa.en haat men ishq
vo husn nuur ki barish men jab naha raha tha
machal raha tha bahut tab tajalliyat men ishq
main sochta huun ki kya hota dahr men har su
agar na hota kahin tere shash-jahat men ishq
qalam se likkha gaya hai varaq pe harf-e-sukut
taḌap raha hai miri nilgun davat men ishq
kahin pe zinda hai ye jiit ke har ik baazi
kahin pe raushaniyan kar raha hai maat men ishq
kahin hain duniya ki ranginiyan ta.aqub men
kahin jhalakta hai meri har ek baat men ishq
Leave a Reply