jo ja chuke hain ghaliban utren kabhi ziina tira
ai kahkashan ai kahkashan raushan rahe rasta tira
ḳhun-naba-e-dil ki kashid aḳhir ko tire dam se hai
kahne ko mera mai-kada lekin hai mai-ḳhana tira
pal-bhar men badal chha ga.e aur ḳhuub barsaten huiin
kal chaudhvin ki raat men kuchh yuun ḳhayal aaya tira
ai zindagi ai zindagi kuchh raushni kuchh raushni
chala raha tha shahr men muddat se divana tira
ab gayakon men naam hai varna jo apne giit the
saare dil ke zaḳhm the dar-asl ehsan tha tira
ghazlen miri tere liye yaden tiri mere liye
ye ishq hai punji miri ye sher sarmaya tira
Leave a Reply