DhunDhta huun roz-o-shab kaun se jahan men hai
ik makan ki raushan sa basti-e-guman men hai
sust-rau musafir ki qismaton pe kya rona
tez chalne vaala bhi dasht-e-be-aman men hai
ḳhush bahut na ho sun kar sahilon ka avaza
ik fasil paani ki aur darmiyan men hai
lauTne nahin deta ye tilism raston ka
janta huun main varna sukh bahut makan men hai
raaz kuchh nahin khulta is ajab nagar ka yaan
suud men na tha din bhi raat bhi ziyan men hai
dekhta nahin hai kya saat asman vaala
kaun dhuup ke andar kaun sa.eban men hai
Leave a Reply