koi tufan to nahin koi talatum to nahin
zindagi naam hai jis ka vo kahin tum to nahin
aur kya kahiyega a.ina-e-hairat ke siva
un ki mahfil men mujhe izn-e-takallum to nahin
jis taraf dekhiye ik nur-e-tajalli paida
aap ki bazm men shamil mah-o-anjum to nahin
aur kya dil ki tabahi pe tavajjoh deta
aap dekhen mire honTon pe tabassum to nahin
aa.ina dekh ke ab pyaar sa aa jaata hai
meri surat se numayan ye kahin tum to nahin
mausam-e-lala-o-gul ahd-e-bahar-e-gulshan
ye kahin aap ka andaz-e-tabassum to nahin
manzilen apni jagah par hain talab apni jagah
ja hi pahunchega ki ‘ehsas’ abhi gum to nahin
Leave a Reply