main jab bhi gaanv apne lauTta huun
kisi ki ruuh tishna dekhta huun
ka.i chehre shanasa us gali ke
kise avaz duun ye sochta huun
utar aata hai ḳhuun ankhon men ab bhi
ga.e mausam men jab bhi jhankta huun
rakho bashshash chahe ḳhud ko jitna
tumhari be-sukuni janta huun
kinare lag chuki hai sab ki kashti
akela main ubharta Dubta huun
kiya hai ḳhuun jis ne mere dil ka
usi ki shadmani chahta huun
mire hisse men kya aa.ega ‘bismil’
dua bhi us ki ḳhatir mangta huun
Leave a Reply