tum ho mahfil men to meri chashm-e-tar dekhega kaun
chand ke aage bhala dagh-e-jigar dekhega kaun
yaad ke sukhe gulabon se saja hai dil ka baagh
zaḳhm ye guzre dinon ke ab magar dekhega kaun
aap hi ki hai adalat aap hi munsif bhi hain
ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhega kaun
main hi apna mohtasib ban ja.un varna dosto
gumrah-e-manzil huun ya huun raah par dekhega kaun
bijliyan bhar paanv men aage zamane se nikal
ban gaya jo tu ghubar-e-rah-guzar dekhega kaun
ek din mazlum ban ja.enge zulmon ka javab
apni barbadi ka matam umr bhar dekhega kaun
‘manzar’ apne ḳhuun se is shaḳh ko sarsabz kar
gar zaban miT ja.egi tera hunar dekhega kaun
Leave a Reply