kya ishq ek zindagi-e-mustaar ka
kya ishq paedar se na-paedar ka
vo ishq jis ki shama bujha de ajal ki phunk
us men maza nahin tapish o intizar ka
meri bisat kya hai tab-o-tab-e-yak-nafas
shoala se be-mahal hai ulajhna sharar ka
kar pahle mujh ko zindagi-e-javedan ata
phir zauq o shauq dekh dil-e-be-qarar ka
kanta vo de ki jis ki khatak la-zaval ho
ya-rab vo dard jis ki kasak la-zaval ho
Leave a Reply