• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Junun Barsae Patthar Aasman Ne Mazra-E-Jaan Par

Junun Barsae Patthar Aasman Ne Mazra-E-Jaan Par

poet

junun barsa.e patthar asman ne mazra-e-jan par

jafa-e-pir sabqat le ga.i bedad-e-tiflan par

lagaya itr jab ham ne lab-e-rangin-e-janan par

to goya tel chhiḌka atish-e-la.al-e-badaḳhshan par

nahin ye mo.ajiza mauquf kuchh musi-e-imran par

pyale hain yad-e-baiza kaf-e-pur-nur-e-mastan par

kabhi chalti nahin bad-e-bahari apne gulshan men

vo bulbul huun ki varafta huun main gul-ha-e-hirman par

bayaz-e-ku-e-janan bulbul-e-shiraz gar dekhe

sifat us bostan ki likkhe auraq-e-gulistan par

kiya qatl us ne mujh ko main ne ki qatil ki ara.ish

jamaya ḳhuun ka lakha lab-e-shamshir-e-burran par

pas-e-divar taḌpoge kahan tak shauq kahta hai

kamand-e-ah se chaḌh jaao bam-e-qasr-e-janan par

tasavvur bandh gaya vahshat men kis ke ru-e-raushan ka

ki aalam vadi-e-aiman ka hai apne bayaban par

hamesha sabz rahta hai gulistan jud-o-baḳhshish ka

kabhi bad-e-ḳhizan chalte na dekhi bagh-e-ehsan par

hua jaame se bahar kis qadar shauq-e-shahadat hai

paḌi jis dam nazar qatil tiri shamshir-e-uryan par

ye kis mehr-e-sip.har-e-husn ne rakkhe qadam apne

guman-e-mahr hai har zarra-e-ḳhak-e-shahidan par

tumhara muskurana janta huun jaan kho.ega

karegi ek din barq-e-tabassum ḳhirman-e-jan par

nahin bas aj-kal sultan iqlim-e-shahadat men

hai apne naam ka sikka zar-e-ganj-e-shahidan par

miTa diin teziyan ai zo.af tu ne dasht-e-vahshat men

paḌa hai surat-e-tar-e-gareban chak-e-daman par

bana kar til ruḳh-e-raushan pe vo shoḳhi se kahte hain

ye kajal ham ne paara hai charagh-e-mah-e-taban par

unhen parva nahin hai kuchh na ho gar baaḌ ka Dora

ki Dore Dalte hain yaar ki ham tegh-e-uryan par

dahan ho us ke paida aur zaban us ki huvaida ho

zaban-e-zaḳhm ko rakh duun zaban-e-tegh-e-burran par

paḌa aks-e-shafaq to naaz se kahne laga qatil

chaḌha sone ka paani gumbad-e-qabr-e-shahidan par

hamare yaar ne kiin chhup ke baten pyaar ki ham se

lagaya aaj poshida ye marham zaḳhm-e-pinhan par

agar raushan karun us ko charagh-e-dagh-e-sauda se

dhuan zanjir ban jaa.e sar-e-sham-e-shabistan par

hua dhoka jo ham ko tegh-e-ḳhun-alud qatil ka

gala ragḌa kiye ham mauja-e-ḳhun-e-shahidan par

mazamin us ke jab bandhe to bandish saaf di ham ne

jila kar di hamesha gauhar-e-mazmun-e-dandan par

pas-e-murdan ‘qalaq’ ehsan kiya ye na-tavani ne

subuk mera janaza ho gaya dosh-e-azizan par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

syed-nazeer-hasan-sakha-dehlavi

Sitam Karna Karam Karna Wafa Karna Jafa Karna

Go Ye Rakhti Nahin Insan Ki Haalat Achchhi

Tere Jaur-O-Jafa Ka Hum Kabhi Shikwa Nahin Karte

Kuchh Sae Se Har Lahza Kisi Samt Rawan Hain

poet

Dur Tak Bhi aahaT Ki Aas Jab Na Rah Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet