main ne kuchh bolne ki koshish ki to
mujhe ik katahra faraham kar diya gaya
main gavah huun
lekin chashm-did nahin
muqaddas kitab par haath rakh kar qasam khaao
jo bhi kahungi sach kahungi
sach ke siva kuchh bhi nahin
main ne qasam khaai
aur gavahi di
meri halakat chashm-did na thi
so qatil aaj bhi ghumta hai azadana
magar main qaid huun
jhuti gavahi ke ilzam men
ab bhi
Leave a Reply