dil bhi avara nazar avara
kaT gaya saara safar avara
zindagi bhaTka hua jangal hai
raah bechain shajar avara
ruuh ki khiḌki se ham jhankte hain
aur lagta hai nagar avara
tujh ko ma.alum kahan hoga ki shab
kaise karte hain basar avara
mujh ko ma.alum hai apne baare
huun bahut achchha magar avara
ye alag baat ki bas pal-do-pal
lauT ke aate hain ghar avara
Leave a Reply