dasht-e-vahshat ne phir pukara hai
zindagi aaj tu gavara hai
Dubne se bacha ke manjhi ne
dard ke ghaaT la utara hai
laakh tu mujh se hai magar mujh men
kab tiri ham-sari ka yaara hai
baat apni ana ki hai varna
yuun to do haath par kinara hai
dil ki gunjan rahguzaron men
karb-e-tanha.i ka sahara hai
log marte hain band ankhon se
ham ko is agahi ne maara hai
jan-e-‘shahzad’ zindagi ka safar
ham ne be-karvan guzara hai
Leave a Reply