zamin ne lafz ugaya nahin bahut din se
kuchh asman se bhi aaya nahin bahut din se
ye shahr vo hai ki koi ḳhushi to kya deta
kisi ne dil bhi dukhaya nahin bahut din se
ajiib log hain bas raston men milte hain
kisi ne ghar hi bulaya nahin bahut din se
tujhe bhulana to mumkin nahin magar yunhi
tira ḳhayal hi aaya nahin bahut din se
namaz kaise paḌhun main baghair paak hue
ki ansuon men nahaya nahin bahut din se
ham apni mamlikat-e-dard men akele hain
hamari koi re.aya nahin bahut din se
mufahamat si ajab ho ga.i hai raat ke saath
charagh main ne jalaya nahin bahut din se
Leave a Reply