haan jhuuT hai vo jaan se tum par fida nahin
sach kah rahe ho ghair ka ye hausla nahin
yad-e-butan nahin ki ḳhayal-e-ḳhuda nahin
sab kuchh bashar ke dil men hai ai shaiḳh kya nahin
vaqif nahin ho tum abhi hal-e-raqib se
main ne bura kaha jo use kya bura nahin
Thahre raho ki baat hi hogi tamam raat
Darte ho kyon kuchh aur mira mudda.a nahin
bhuli bahisht men bhi na angur ki mujhe
jab pi mai-e-tahur kaha vo maza nahin
puuri na kar jo vasl ki ḳhvahish to qatl kar
kya teri tarah tegh bhi hajat-rava nahin
ik main huun apne dil men tujhe dekhta huun roz
ik tu hai muḌ ke meri taraf dekhta nahin
pahle to us ne vasl ka iqrar kar liya
phir thoḌi der soch ke kahne laga nahin
o sone vaale sone na degi tujhe kabhi
ye meri ah-e-garm hai bad-e-saba nahin
jaao na mudda.i ki mulaqat ke liye
tum aao ya na aao ye matlab mira nahin
ai dil kidhar hai kucha-e-gesu se de sada
DhunDhun kahan andhere men kuchh sujhta nahin
saa.e ka bhi pata nahin vo aa.e is tarah
sajde kahan karun ki kahin naqsh-e-pa nahin
sabit hai jurm-e-ishq to dava-e-ishq se
ham kis tarah kahen ki hamari ḳhata nahin
barsat men bhi tum kabhi piite nahin ‘fahim’
aisa bhi ab pasand mujhe ittiqa nahin
Leave a Reply