
Parveen Fana Syed
tumhara dil
tajalliyon ke tuur ki ziya se
agahi talak
riyazaton ke nuur men gundha hua
amanaton ke baar se daba hua
tumhari ruuh ke latif aine men
apna aks dhundne
aqidaton ki gard se ati hui
ana ke pul-sirat se guzar ke aa rahi huun main

Leave a Reply