• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Nazr-E-Aligadh

Nazr-E-Aligadh

asrarul-haq-majaz

Asrarul Haq Majaz

sarshar-e-nigah-e-nargis huun pa-basta-e-gesu-e-sumbul huun

ye mera chaman hai mera chaman main apne chaman ka bulbul huun

har aan yahan sahba-e-kuhan ik saghar-e-nau men dhalti hai

kaliyon se husn tapakta hai phulon se javani ubalti hai

jo taq-e-haram men raushan hai vo shama yahan bhi jalti hai

is dasht ke goshe goshe se ik ju-e-hayat ubalti hai

islam ke is but-khane men asnam bhi hain aur aazar bhi

tahzib ke is mai-khane men shamshir bhi hai aur saghar bhi

yaan husn ki barq chamakti hai yaan nuur ki barish hoti hai

har aah yahan ik naghma hai har ashk yahan ik moti hai

har shaam hai sham-e-misr yahan har shab hai shab-e-shiraz yahan

hai saare jahan ka soz yahan aur saare jahan ka saaz yahan

ye dasht-e-junun divanon ka ye bazm-e-vafa parvanon ki

ye shahr-e-tarab rumanon ka ye khuld-e-barin armanon ki

fitrat ne sikhai hai ham ko uftad yahan parvaz yahan

gaae hain vafa ke giit yahan chheda hai junun ka saaz yahan

is farsh se ham ne ud ud kar aflak ke taare tode hain

nahid se ki hai sargoshi parvin se rishte jode hain

is bazm men teghen khinchi hain is bazm men saghar tode hain

is bazm men aankh bichhai hai is bazm men dil tak jode hain

is bazm men neze phenke hain is bazm men khanjar chume hain

is bazm men gir kar tadpe hain is bazm men pi kar jhume hain

aa aa ke hazaron baar yahan khud aag bhi ham ne lagai hai

phir saare jahan ne dekha hai ye aag hamin ne bujhai hai

yaan ham ne kamanden daali hain yaan ham ne shab-khun maare hain

yaan ham ne qabaen nochi hain yaan ham ne taaj utare hain

har aah hai khud tasir yahan har khvab hai khud tabir yahan

tadbir ke pa-e-sangin par jhuk jaati hai taqdir yahan

zarrat ka bosa lene ko sau baar jhuka akash yahan

khud aankh se ham ne dekhi hai batil ki shikast-e-fash yahan

is gul-kada-e-parina men phir aag bhadakne vaali hai

phir abr garajne vaale hain phir barq kadakne vaali hai

jo abr yahan se utthega vo saare jahan par barsega

har ju-e-ravan par barsega har koh-e-giran par barsega

har sarv-o-saman par barsega har dasht-o-daman par barsega

khud apne chaman par barsega ghairon ke chaman par barsega

har shahr-e-tarab par garjega har qasr-e-tarab par kadkega

ye abr hamesha barsa hai ye abr hamesha barsega

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

shahnaz-nabi

Man-Sarowar

poet

Chaman Chaman Hi Nahin Hai Jo Lala-Zar Nahin

Kabhi Bahar Nahin Aati Sada Parde Mein Rahti Hai

munawwar-rana

Chale Maqtal Ki Jaanib Aur Chhati Khol di Humne

Yun Lagta Hai Sab Kuchh Khone Aaya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2026 ยท Urdu Poet