
Haidar Ali Aatish
koi ishq men mujh se afzun na nikla
kabhi samne ho ke majnun na nikla
bada shor sunte the pahlu men dil ka
jo chira to ik qatra-e-khun na nikla
baja kahte aae hain hech us ko shaer
kamar ka koi ham se mazmun na nikla
hua kaun sa roz-e-raushan na kaala
kab afsana-e-zulf-e-shabgun na nikla
pahunchta use misra-e-taza-o-tar
qad-e-yar sa sarv-e-mauzun na nikla
raha sal-ha-sal jangal men ‘atish’
mire samne bed-e-majnun na nikla

Leave a Reply