
Bahadur Shah Zafar
ishq to mushkil hai ai dil kaun kahta sahl hai
lek nadani se apni tu ne samjha sahl hai
gar khule dil ki girah tujh se to ham janen tujhe
ai saba ghunche ka uqda khol dena sahl hai
hamdamo dil ke lagane men kaho lagta hai kya
par chhudana is ka mushkil hai lagana sahl hai
garche mushkil hai bahut mera ilaj-e-dard-e-dil
par jo tu chahe to ai rashk-e-masiha sahl hai
hai bahut dushvar marna ye suna karte the ham
par judai men tiri ham ne jo dekha sahl hai
shama ne jal kar jalaya bazm men parvane ko
bin jale apne jalana kya kisi ka sahl hai
ishq ka rasta sarasar hai dam-e-shamshir par
bul-havas is raah men rakhna qadam kya sahl hai
ai ‘zafar’ kuchh ho sake to fikr kar uqba ka tu
kar na duniya ka taraddud kar-e-duniya sahl hai

Leave a Reply