ham ko mita sake ye zamane men dam nahin
ham se zamana khud hai zamane se ham nahin
be-faeda alam nahin bekar gham nahin
taufiq de khuda to ye nemat bhi kam nahin
meri zaban pe shikva-e-ahl-e-sitam nahin
mujh ko jaga diya yahi ehsan kam nahin
ya rab hujum-e-dard ko de aur vusaten
daman to kya abhi miri ankhen bhi nam nahin
shikva to ek chhed hai lekin haqiqatan
tera sitam bhi teri inayat se kam nahin
ab ishq us maqam pe hai justuju-navard
saaya nahin jahan koi naqsh-e-qadam nahin
milta hai kyuun maza sitam-e-rozgar men
tera karam bhi khud jo sharik-e-sitam nahin
marg-e-‘jigar’ pe kyuun tiri ankhen hain ashk-rez
ik saneha sahi magar itna aham nahin
Leave a Reply