
Miyan Dad Khan Sayyah
apne hi dam se hai charcha kufr aur islam ka
gaah aabid huun khuda ka gah pujari raam ka
lotte hain jis ko sun sun kar hazaron murgh-e-dil
ho raha hai zikr kis ke gesuon ke daam ka
chashm-e-mast-e-yar ka ham-chashm lo paida hua
dekhna ab post khincha jaega badam ka
sair karta hai vo aalam ki mira paik-e-nigah
laakh hai be-dast-o-pa lekin hai phir sau kaam ka
sar juda tan se kiya ik haath men jallad ne
naqd-e-jan diije kiya us ne ye kaam inaam ka
hain shah-e-malk-e-junun sahra hai apna takht-gah
tan pe har dagh-e-junun sikka hai apne naam ka
jald naam apna bata de jaise banda huun tira
vasta deta huun main ai but khuda ke naam ka
but-parasti ki bahut ‘sayyah’ ab kar yaad haq
shughl-e-maula men rahe banda vahi hai kaam ka

Leave a Reply