achchha hua ki mera nasha bhi utar gaya
teri kalai se ye kada bhi utar gaya
vo mutmain bahut hai mira saath chhod kar
main bhi huun khush ki qarz mira bhi utar gaya
rukhsat ka vaqt hai yunhi chehra khila rahe
main tuut jaunga jo zara bhi utar gaya
bekas ki aarzu men pareshan hai zindagi
ab to fasil-e-jan se diya bhi utar gaya
ro-dho ke vo bhi ho gaya khamosh ek rose
do-char din men rang-e-hina bhi utar gaya
paani men vo kashish hai ki allah ki panah
rassi ka haath thame ghada bhi utar gaya
vo muflisi ke din bhi guzare hain main ne jab
chulhe se khali haath tava bhi utar gaya
sach bolne men nashsha kai botalon ka tha
bas ye hua ki mera gala bhi utar gaya
pahle bhi be-libas the itne magar na the
ab jism se libas-e-haya bhi utar gaya
Leave a Reply